Friday, May 16, 2008

BOL NA HALKE HALKE - JHOOM BARABAR JHOOM

BOL NA HALKE HALKE - JHOOM BARABAR JHOOM

dhaage tod laao chandani se noor ke
ghoonghat hi bana lo roshani se noor ke - 2
sharm aa gayi toh aaghosh mein lo
ho saanson se ulajhi rahein meri saansein
bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke, bol na halke - 2

aa nind ka sauda karein, ek khwaab de, ek khwaab le
ek khwaab toh aankhon mein hai, ek chaand ke takiye talein
kitane dino se yeh aasamaan bhi soya nahi hai, isako sula de
(bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke, bol na halke) - 2

umarein lagi kehate huve, do labz the ek baat thi
woh ek din sau saal ka, sau saal ki woh raat thi
kaisa lage jo chup chaap dono,
ho ek pal mein puri sadiyaan bitaayein

bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke
o dhaage tod laao chaanadani se noor ke
o ghoonghat hi bana lo roshani se noor ke
sharm aa gayi toh aaghosh mein lo
ho saanson se ulajhi rahein meri saansein
(bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke, bol na halke) - 2

No comments: